Bhagwan Shri Krishna ne dwapar yug mein janm liya aur Kans ka narsanhar kiya. Bhagwan Krishna ne apne mata pita ko karavas se bahar nikalna.
Kalyug mein bhi Bhagwan Shri Krishna ki Jay jaikar hoti hai Jab ek vyakti dusre vyakti se milta hai to Radhe Radhe, Jay Shri Krishna, Jay Shri Radhe kehkar abhivadan karte hain aur uske baad baaton ka daur hota hai.
Bhagwan Krishna ki kafi Katha prachalit hain aur har Katha mein bahut hi anand aata hai.
Bhagwan Krishna ki ek Balak roop ki katha kafi prachalit hai jo is prakar hai.
Ek baar ki baat hai Bhagwan Krishna Jab chhote the Balak krishna roop mein Bhagwan Krishna ne kafi hat kiya aur apne hat se apne ghar parivar ke aur pass pados ke vyaktiyon ka man rijha lete the kabhi Balak Krishna Makhan chor bane to hamare Krishna ne balak Krishna roop mein nahati hui gopiyon ke kapde bhi churae aur fir Kanhiya per dant padati thi maiya Yashoda chadi utha kar unke piche unko marne ke liye bhagati Jab is roop ko ham apne man mein bhi niharte hain to bada hi anand aata hai.
Is prakar ek baar Balak krishna apne shakha ke saath ball khelne Yamuna kinare chale gaye vahan jakar baal kida karne lage ek taraf se sakha ball fakta aur dusri taraf se sakha use ball ko apne dande se fir se sakha ki taraf fekte is tarah ka khel khelne lage the aur Jab bol kahin dur chali jaati to ismein jiski galti hoti hai ball ko usi ko uthakar lana padta yah unhone apne khel ka niyam banaya hua tha

Pass mein Yamuna nadi bah rahi thi Jo bahut gehri thi aur Jab bhi bacche vahan khelne jaate the to unke mata -pita unhen satak kar dete aur kahate ki kuchh bhi ho jaaye Yamuna nadi mein mat utarna nadi mein Kaliya naag rahata tha Jo ki bahut hi bada aur jehrila tha isiliye vahan jaane se sabhi darte the kyunki Jo kabhi usmein chala jata tha vah laut kar nahin aata tha.
Shri Krishna apne sakha ke saath ball se Khel rahi the ki tabhi natkhat Krishna ke haath se ball Yamuna nadi mein chali gayi yah dekh kar Krishna ke sabhi sakha bole ismein tumhari galti hai aur tumhari vajah se ball nadi mein chali gayi hai isliye is ball ko ab tumhen hi lana padega natkhat Krishna mana karne lage ki main nahin ja raha Kanhaiya ke sakha Kanhaiya per dabaav dalne lage aur kehne lage ki ham tere saath dosti tod denge aur maiya Yashoda se shikayat bhi kar denge yah sunkar Kanhaiya ne kaha ki ruko main ball lane ja raha hun yah kahkar Kanhaiya nadi mein kud gaye.
Maiya Yashoda ko kisi ne jakar kah diya ki Kanhaiya to Yamuna nadi mein kud gaya hai yeh sunte hi Yashoda ji rote hue vahan se bhagati hui yamuna ki taraf aayi saath mein pure nagar vasi bhi a gaye.
Yamuna nadi ke andar Kanhaiya ne charo taraf apni ball ko dekha ek kone mein unhen apni ball dikhai di aur vahin per Kaliya naag tha jo ki bahut vishal roop mein tha aur kundli Marker baitha tha aur Kanhaiya lo dekhkar bada hi gussa ho raha tha kyunki uski nadi mein koi aaye yah Kaliya naag ko pasand nahin tha Balak krishna ne Kaliya naag se kaha ki meri ball mujhe de do mere sakha mera intezar kar rahe hain khelne ke liye.
Kaliya naag ne kaha ki ab yahan se koi ball nahin le ja sakta aur na hi tum ja sakte ho is per Kanhaiya ne kaha ki aisa kyon Kaliya naag ne apni jakad mein Kanhaiya ko le liya aur kaha ki main ab tumhen maar dunga isliye maine aisa kaha mere baare mein kisi ne nahin bataya tumhe Balak krishna yah kahkar naag muskurane laga Balak Krishna ne kaha soch lena ki kahin tum hi nahin mar jao Balak Krishna kehkar naag ki Jakad se bahar nikal aaye aur uske sar per chadh gaye.

aur sar per chadh ker nritya karne lage nritya karte karte Kaliya naag ki poonch ko marod ne lage Kaliya naag behaal tha aur kuchh nahin kar pa raha tha parantu Kaliya naag samajh chuka tha ki yah koi samanya Balak nahin hai
Kaliya naag ne Balak Krishna se vinati ki mujhe maaf kar do aur aap kaun hain mujhe bataiye balak Krishna ne apne darshan diye aur kaha ki aage se kisi ko is nadi mein pareshan nahin karna aur is nadi ko chhodkar chale jaao Kaliya naag ne kaha Prabhu ab aisa hi hoga aapke darshan karke mera udhar ho gaya.
Balak Krishna ne kaha ki mujhe bahar chhod ke aao Kaliya naag ne vaisa hi kiya Jab Krishna nadi se bahar aaye to vah kaliya naag ke fan per baithe hue the aur murali baja rahe the aur unke dusre hath mein unki ball bhi thi yah dekhkar maiya Yashoda aur sabhi Sakha aur saare nagar vasi bade hi lhush hue.
is tarah Balak Krishna ne Kaliya naag se nagarvasi ko bachaya aur kaliya naag ka bhi uddhar kiya.
Leave a Reply