Dhaust Mamta Raj

Mamta banarji aur Bangal ki mamta didi vidhansabha chunav jinke liye behad hi dukhad aur nirashajank raha aur is tarah apne hi ghar mein Mamta didi ko shikast mili kisi ka apne hi ghar mein harna bahut badi haar hai Mamta Didi ke liye kyunki Bangal Mamta didi ka ghar aur unki pehchan hai aur Bangal ki beti bhi hai aur didi bhi hain . Bangal ki Janata ne Mamta didi aur Mamta Raj Ko najarandaaz kar diya jisse Mamta ka fir se sarkar banane ka sapna chur -chur ho gaya.

Mamta Didi ke harne ki vajah unka khud par aur apni party par atyadhik vishwas hona kyunki trinamul Sarkar 15 saal se Bangal mein shasan kar rahi thi aur is bar bhi jitne ki ummid thi Lekin vidhansabha chunav ki ginti ne Mamta didi har ka rasta dikha diya Party apni hi kamiyon se haari aur Janata ko Mamta didi Sarkar ki taraf se jo ummid thi us per Mamta ki party khari nahin utri . Iske alava yuva ko rojgaar na milna bhrashtachar ka badna, aaye din bahu betiyo ke saath badsaluki hona kyunki Bangal mein ladkiyon ka jivan safe nahin hai aur aisi bahut si vajah hai jinse Janata ne aakroshit hokar apni narajgi Mamta didi ko apna ummedwar na chunker bataya hai Bangal ki Janata nahin chahti ki Mamta didi ki sarkar fir se kursi per baithe aur tranmuil Congress fir se satta mein aaye.

Bangal mein Mamta ki sarkar ke prati Janata ke dilon mein kya jagah hai janta ne vidhansabha chunav mein vote dekar jawab diya hai aur Mamta raj Ko najarandaaz kar diya hai

Is baar Mamta didi ka Jadu Durga pandal aur jansabha mein yahan tak ki mamta didi ka aam Janata se khulkar milana bhi Janata ko ras nahin aaya.

Mamta raj mein kanoon vyavastha bhi puri tarike se asantulit ho gai yah Bangal ki Janata ne nyaay lete waqt dekha aur is tarah unka Mamta ki sarkar ki prati bharosa khatm ho gaya

Apne Ghar mein Hi Hari

Mamta didi ki vidhansabha chunav mein is baar yah bahut badi haar hai kyunki unki sarkar Bangal mein hari aur khud Mamta didi apne ghar Bhawanipur mein bhi unhen haar ka samna karna pada yah unke liye sabse badi haar hai.

Vote ki ginti ke dauran Mamta ke ghar Bhawanipur per pure desh ki najar thi aur Mamta didi ki najar bhi thi . Mamta ko ye ummid nahin thi ki vah apne hi ghar mein hi haar jaengi.

Aakhirkar Bangal ki Janata ne Mamta didi ke 15 saal ka Mamta raj ko ukhad ke khatm kar diya aur vahan dikha diya ki ab Bangal ki Janata ko Mamta didi ki sarkar aur Mamta didi pasand nahin hai.

Bangal mein vidhansabha chunav mein mili haar se Mamta Ji ko sabak lena chahiye kyunki unhone apni manmani aur apni jidd Janata per thopni chahi Janata ko gumrah bhi kiya unhone Vikas, Naukri , shiksha aur Nyaay vyavastha per dhyan nahin diya Bangal me tarkki bhi sucharu roop se nahin chali.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *