Category: Article

  • Desh badal raha hai

    Ye image mane bhi sodal Media per dekhi jisme ek bhai apni mari hui behan jo ki kabr me dafan ho gai thi per bhai ke halat aise hue ki use apni behan ki kabr khodkar plastic ke bag mein bharkar lana pada.

    Yah ghatna Orissa ke Keonjhar jile ki hai .Jeetu Munda naam ka vyakti jiski Kalra Munda naam ki bahan thi Jo ki mar chuki thi . Jeetu Munda ko rupay ki jarurat hone ki vajah se Kalra Munda ke khate se rupay nikaalne the lekin bank waalon ko behan ka dath sartificate ke bina khate se rupaye nahin nikal sakte yeh kehkar mana kar diya. Jeetu Munda ko dath sartificate chaiye tha jo ki uske pass nahi tha aur pahli bar usne aise kisi dath sartificate kagaj ka naam suna tha.Jeetu ke anpadh hone ki vajah se use kuchh samajh nahi aaya use Jo theek laga usne vahi kiya aur is vajah se use ye kadam uthana pada bank mein Jab vyakti apni bahan ke sav ko is halat mein lekar pahuncha Bank mein yeh dekh kar afra tafri mach gai aur fir Police ko bulaya gaya.

    Pradhaan mantri Narendra Modi ji ne 28 april ko Sikkim ke Gangtok mein sthaniye yuva ke saath Football ka match khela vaise yeh khel Sikkim ke 50 ve rajye sthapna divas hone ke uplaksh me hua . Modi ji apne har movement ke photo social media per dalte hain to kya unhone social media nahin dekha ki is waqt kya news chal rahi hai Modi ji har baar kehte hain desh badal raha hai aur tarkki kar raha hai to kya is tarah desh badal raha hai.

    Kya yahi hai hamare desh ki badalti tasvir Jahan ek aam aadami ko aaj bhi musibat jhelni padti hai aur iske liye bhatkna padta hai aur dusri taraf ek khas aadami football khelta hai aur apne photo social media per dalte hain.

    Halanki ismein Jeetu ka aapad hona bhi hai jis karan bo sistam ko nahi samjh paya aur use. wakt jo thik laga bo usne kiya .

    Lakin ak dusra karan Jeetu ka garib hona bhi hai jis vajah se use ye kadam uthana pada.

    Isme kis ki galti hai yah to pata nahin lekin badalte desh ki badalti tasvir kya yahi hai aur kehte hai ki mera desh badal raha hai ye kis tarah badal raha hai yah ham sab dekh rahe hai

    Jeetu Munda ko apni bahan ke khate se rupaye nikalna chah raha tha. Lekin bank walon ne bataya ki dath certificate ka kagaj chahie use iski jankari na hone ke karan aur jo samajh mein aaya usne vahi kiya . Jeetu ne kuchh mahine pehle mari hui behan ki kabr khodkar behan ki body ko nikala aur body leker ke bank pahuch gya .

    Garib hamesha garib hi kyu rahta hai garib ke liye hi kayde, kanoon kyon hote hain.Ye hai hamare desh ki badalti tasvir.

  • Bangal mein Chunav

    Is samay Bangal mein vidhansabha chunav ke liye neta jee tod mehnat kar rahe hain aur sabhi party ke neta kursi paane ki chah mein votebank badane me lage hain . Kolkata ke galiyaron netaon ki really bhi jansabha se vote ke liye prechaar kar rahe hai aur khoob iske charche ho rahe hai neta kolkata me aam janta se samvaad kar rahe hai neta ji tod mehnat karke khud ko aam Insan se jode rahe hain aur unke saath khade hokar janata ko bhi ek khas ehmiyat de rahe hai

    Per ye sab Jo bhag daud ho rahi hai vah sirf chunavi bhag daud hai aur chunav ke waqt tak hi hai uske baad netaji ko kisi ki yaad nahi rahegi na hi koi baat yaad rahengi abhi to aam Janata ko chunav ke waqt hi yaad kiya jata hai.

    Bangal mein Mamta didi ka andaz shandar hai aur bilkul hi alag hai veh kisi manch se khade hokar samvad nahin kar rahi hai balki raat ke waqt aam Janata se mil rahi hain aur unse samvad kar rahe hain.

    Kursi paane ke liye kisi baat per bhi neta ek dusre par kichad u chalane ka mauka nahin jaane de rahe.

    PM Modi ne vidhansabha chunav ke dauran hugli nadi mein naav se noka vihar kiya aur unhone apne social media per photo bhi share ki

    Pradhanmantri ne chunav prachar ke dauran Mathura ki Sabse badi dharmik aur maan Kali ke darshan kiye aur Puja Archana ki yah pahli bar nahin hai ki Jab Modi ji kisi dharmik sthal per na gaye ho har baar chunav prachar ke dauran vahan ke dharmik sthal per jaate jarur hain.

    Idhar Mamta didi ne Modi ji per nishana sadha ki hamare yahan hugli nadi Yamuna se adhik saaf hai iske viprit Delhi mein Yamuna nadi ka pani saaf nahin hai.

    Neta koi bhi mauka jaane nahin de rahe chunav prachar kar rahe hain aur aur ek dusre ki tang bhi khinch rahe hain.

    Pradhanmantri Narendra Modi ne chunav prachar ke dauran Mamta didi per aarop lagaya ki unki party mein neta nahin balki apradhi hain chote- chote gunday Jo khud ko hi sarkar samajh rahe hain mahilaon ko pratadit karte hain lekin Bhajpa ki party yah bardash t nahin karegi

    ab dekhna hoga Kalighat ki maan Bhawani kis neta ko Aashirwad deti hai aur vahan se kis party ke neta ji ko jeet mile

    Kyunki Mamta didi bhi khoob mehnat kar rahi hai aur Mamta didi Bangal ko kafi samay se jaanti hai aur unke samne Bhajpa se Subhendu khade hai ab dekhna hoga vidhansabha chunav kiske liye jeet layega aur kis ko haar .Jisko Bangal ki janta sabse adhik visvaas ke yogya samjhegi usiko saath degi.

  • Mahila Aarakshan

    Mahila Aarakshan ki baten ine dinon kafi suni ja rahi hai chahe social media ho news channel ho newspaper ho aur chaye rajniti galiyan ho .Is waqt ki sabse badi khabar hai.Mahila Aarakshan ko vipaksh ki vajah se swikriti na milna

    Har baar jab kabhi mahilaon ki tarkki ko lekar koi faisla liya jata hai to baten hi hokar rah jaati hai aage kuchh nahin hota hai kya vajah hai aisa hone ki.

    Sansad mein mahilaon ke liye 33% Aarakshan lagu ki ya jana tha jiske liye paksh -vipaksh mein vote dale gaye.Jismein se 298 vote paksh mein aur 230 vote vipaksh mein pade is tarah is vidheyak bil ko parit hone ke liye 54 vote kam mile.Aur is tarah Mahilaon ko Sansad mein fir se andekha kiya gaya.

    Mahilaon ko Loksabha aur Vidhansabha mein 33% Aarakshan dene ka Jo vidheyak hai veh samvidhan mein bhi sanshodhit hai fir kabhi paksh to vipaksh Mahilaon ko Arakshan dene mein kyun aade aata hai.Har baar jab kabhi sarkar yah Aarakshan pesh karti hai to use waqt Jo vipaksh mein hote hain unhen etraj kyon hota hai kya aaj bhi purush mahilaon ko aage badhate nahin dekhna chahte.

    Lekin dekha jaaye to mahilaon ke liye Aarakshan bil pesh karke Sarkar bhi rajniti ka Khel khelti hai.Aur aam Janata ko yah dikhati hai ki ham to mahilaon ke liye bahut kuchh karna chahte hain parantu vipaksh nahin chahta ki mahilaye aage badhe is tarah Sarkar khud Ko nirdosh aur vipaksh ko doshi savit karti hai sab sirf apna ulloo sidha karte Hain.

    Iske baad Sarkar kafi dinon tak vipaksh ko kharikhoti sunakar apni bhadaas nikalti hai aur janta ke dimag mein bhi yahi bhar deti hai.

    Is waqt Loksabha mein 543 sadasya hai jismein se shayad 100 bhi mahilaye nahin hongi yah hai hamare desh ki sansad ka haal Jahan mahilaon ko barabari ka darja nahin milta hai

    September 2023 mein Sarkar ne mahila Aarakshan bil pesh Kiya jise paksh- vipaksh donon taraf se sahmati mili aur sabka najriya ek tha to uska kya hua .Usmein Sarkar ne apne kadam aage kyon nahin badhae.

    Abhi tak sansad mein 9 baar Mahila Aarakshan vidheyak ke liye koshish ki gai per her baar kuchh na kuchh atkale lagi hai

    Yah mahilaon ke sath nainsafi hai.Iska har varg ke vyaktiyon ko purzor virodh karna chahiye Sansad mein Mahilaon ko 33% aarkshan milna chahiye jisse ki Mahila sakti ko bada ba mile aur is tarah mahilaon ki chavi bhi sudhregi .Jab mahilaon ko aage badne ka mauka milega to mahilaon ke sath desh ki tarkki me bhi izafa hoga

  • Pradhanmantri aur jhalmuri

    Hi doston main aapki blog mam aapke liye ek naya blog lekar hajir hun.

    Hamare Desh ke neta kuchh bhi karen aur vah viral na ho aisa ho nahin sakta ab jaise ki Pradhanmantri Modi ne paschim Bangal main chunavi jansabha ke baad Jo unhone sadak kinare apni gadi se nikalkar dukaan per pahunche 10 rupaye ki jhal Muri banai aur uska swad liya.

    Ji han doston PM Modi ka sadak kinare jhalmuri ban bakar khana . Jhalmuri jo ki Bangal, UP ka favourite hai aur iske alava n jaane kitne vyaktiyon ki pasand hai vhai Jhal muri Pradhanmantri ji ka bhi pasandida hai.

    Pradhanmantri ji paschim Bangal ke Jhargram mein chunavi jansabha ke liye gaye the aur sadak par Se jab Pradhanmantri ji ka kafila Nikal Raha tha .Sadak kinare dukaan per jab unki najar padi kafila ko rukwa kar Pradhanmantri ji swayam apni gadi se Bahar nikale aur dukaan main jakar unhone apne liye Jaal buri banva li aur jab aam Janata ne dekha to aam Janata ki Khushi ka thikana na raha aur sabi vyakti hairan rah gaye dukaan per maujud vyaktiyon ne bataya ki Pradhanmantri ne halchal bhi poochha hai aur jhalmuri ke rupaye bhi diye.

    Yah sach hai ki jab Pradhanmantri aam Janata ki tarah hi ek aam Insan bankar vyavhar karta hai to aam Janata ko yah bahut achcha lagta hai

    Dekha jaaye to Pradhanmantri Ji ka is tarah aam Janata ke sath samvad karna unki chhavi mein sudhar karne ka karya karega aur unke liye fayde mand bhi rahega .

    Ye rajniti hai iske paitre ek rajneta acche tarike se jaanta hai aur rajniti karne walon Ko kab kya karna hai yah sab pata hota hai.

    Sabko apni apni soch hai koi ise neta ka badppan samjhega aur kuchh ise rajniti mein logon ke prati apna vishwas badhane ka tarika samjhega

    is artical ko likhate waqt mere man mein ek gana A raha hai

    “yah public Hai sab janti Hai andar Kya Hai Bahar kya hai sab pahchanti Hai”

    yah Mera artical aapko kaisa laga comments kijiye.