pyasa kauwa

Ek baar ki baat hai ek ghane jungle mein bahut sare jungali janwar aur pashu pakshi rahte the. Garmiyon ke din the aur sukha pad raha tha barish bhi nahin ho rahi thi aur dur tak garmi ki vajah se nadi nale ka pani sukh gaya tha aise mein ek kauwa jo ki bahut pyasa tha aur pani ki talash mein kisi dur Jungle se ud kar aaya pipal ke ped per baitha tha upar ped per se charon taraf nigah ghuma kar dekh raha tha . Use pani ki talash thi .Kauve ko bahut pyas lag rahi thi use .Lakin kahin dur yak pani nahin dikha vah ek ped se dusre ped per dusre ped se teesre ped par udd udd kar ja raha tha aur har jagah pani talash raha tha lekin pani use kahin nahin dikh raha tha ki achanak use dur ek matka dikha kauwa udkar use matke per jakar baith gaya aur use matke mein jhank kar dekhne laga usne dekha matke ke tale mein thoda sa pani tha .Pani dekhkar kauwa bahut khush hua aur vah pani peene ki koshish karne laga lekin kauve ki chonch pani tak nahin pahunch pa rahi thi usne bahut baar prayas kiya lekin har baar vah asafal raha

Kauwa bahut pyasa tha aur pani dekhkar uski pyas badh gai thi lekin vah pani peene mein asamarth tha usne socha ki kya kiya jaaye jisse ki pani peene ko mil jaaye usne pass mein hi chhote pathar ke tukde dekhe chhote pathar Ke tukde dekhkar usek dimag mein khyal aaya ki kyon na ak -ak pathar ke tukde ko matke mein dalta jaaun aur isse pani upar a jaega usne udd kar ak -ak pathar apni chounch se lakar matke mein dalna shuru kar diya thodi der baad mataki ka pani pathar ke tukdon ki vajah se upar a gaya aur yah dekhkar kauwa prasann hua aur usne pani pikar apni pyas bujhai.

Pyasa kauwa hamen sikh deta hai ki pareshaniyan kitni hai kathin kyon na ho per pareshaniyan ka koi na koi hal jarur hota hai yah kahani ham bachpan se hi sunte aur padhte a rahe hain aur yah pyasa kauwa ki kahani hamen bahut badi sikh deti hai.

Ek Kisan apni kheti mein bi hone se pahle khet ko taiyar karta hai uski mitti ko tractor chala chala kar mulayam karta hai pani dalta hai aur mausam ke hisaab se khet mein beej bota hai aur usmein samay per pani ,khaad dalta hai aur kitnasak davaon ka bhi chidkav karta hai aur fasal taiyar hone ka intezar karta hai jismein kuchh mahine lag jaate hain tab kahin jakar kisan ko apni fasal milati hai kehna yah hai ki bina mehnat ke kuchh hasil nahin hota hai isliye agar aapko apna sapna pura karna hai to mehnat karni hogi kyunki mehnat ka fal meetha hota hai yah 100 taka sach baat hai.

Aaj ka Yuva varg mehnat se darta hai Ji chura Kar bhagata hai aur jab wakt nikal jata hai to vah apne naseeb ko dosh deta hai. Yuva varg ko apna friend circle achcha rakhna chahie positive rakhna chahie aaj ki technology ke baare mein jankari bhi rakhna jaruri hai jisse ki aap carier mein aage badh sake Jaise pyasa kauwa ek ped se dusre ped ki taraf aage badhta raha vaise hi apni ek line mein aage badhate rahiye aur mehnat karke apne goal ko paa lo.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *