Hi doston main aapke liye aapki blog Mam aapke liye ek naya blog lekar hajir hun.
Apane ek kahani suni hogi ek Raja tha Jo apni praja se bahut pyar karta tha .Ek bar uske dimag mein ek khayal aaya ki meri praja mein se, mere nagar mein se kaun sabse jyada samajhdar hai yah pata karne ke liye Raja ne apna bhesh badla aur raat ko apne rajya ghumne nikal gaya rajya ki jo sadak thi usi sadak per sadak ke kinare kai pathar rakhe the usme se ek bade se pathar ko Raja ne sadak ke बीच mein dhakel diya jisse raste per aane jaane walon ko pareshani ho aur fir vahin per Raja chup karke dekhne laga ki kaun mere rajya ka nagarik is pathar ko hatayega aur Raja subah hone ka intezar karne laga jab subah hui to rahagir aane jaane lage lekin kisi ne bhi use pathar per ek najar nahin fali aur kisi ko bhi vah pathar bich mein nahin laga kyunki sab uske aas -paas se hokar nikal rahe the lekin kisi ko bhi use pathar ko vahan se hatne ki fursat nahin thi jab kafi waqt ho gaya tab ek Sajjan purush raste se nikal raha tha usne dekha ki is pathar ko sadak ke kinare kar diya jaaye to kisi ko koi pareshani nahin hogi aur sabhi aaram se nikal sakenge usne use pathar ko dhakka dekar ke sadak ke kinare Kar diya Raja yah dekh Kar bahut khush hua aur usne use Sajjan purush ko gale lagaya aur Raja ne apna asali roop dikhaya aur aur bataya per pathar rakhkar vah dekh rahi thi ki is samasya ko Kaun samjhega sajjan purush ko inam bhi diya. Yah to sirf ek kahani hai lekin sacchai yahi hai ki vyakti apne mein itna biji hai ki use apne aaspaas kisi ki pareshani nahin dikhti aur na hi vyakti samajik hona chahta Hai sirf apni personal life ko injoy karna chahta hai lekin iske alava main ek baat aur rakhna chahungi raste ka pathar.
Raste ka pathar raste mein hi nahin hamare dimag mein bhi hai jo hamen aage nahin badhane deta vah pathar dekh kar aisa lagta hai Jaise aage rasta band hai.Rast hai hi nahin aur vyakti koshish nahin karta sab kuchh bhagya ke sahare chhod deta hai raste ka pathar matlab mera kahana yah hai ki vyakti samaj ke dar se ki samaj kya kahega aage koshish nahin karta agar vyakti aage koshish karen aur samasya ma’am ke pathar ko jo uske dimag mein jai use apni koshishon se hatakar dekhe to use apni Manjil mil sakte hain par char log kya kahenge, Fail hone ka dar, logon ke taane sunane ka dar, aur main yah nahin kar sakta yah mujhse nahin hoga is tarike ki nakaratmak baten usko aage nahin badhane deti aur Jahan hai vahi khada rahata hai jivan bhar isliye is raste ke pathar Ko hatana hoga yahi waqt hai कभी-कभी ham Jo kaam karna chahte hain usko bahut bada man lete main aur apne dimag mein, apne man mein aur pata nahin kya -kya nakaratmak sochte rahte hain. Jaise ki ham apni Manjil tak apne sapnon tak nahin pahunch sakenge aisi soch rakhte hain jis vajah se ham khud ko khud hi failure banaa dete hai aur hath per hath rakhe baithe rahte hain aur apne hi samasyaon ka tamasha dekhte hain apne Jaise aur vyaktiyon ko bhi aage nahin badne dete. Aapko fail hone ka dar chhod kar apni samasyaon ka himmat se samna karna chahie hamen apni samasyaon ka samadhan dhundhna chahie .Vo samasya hi hain Jo raste ka pathar bankar hamare samne hamare dimag mein hamare jivan mein khadi hai isliye is samasya ka samadhan aapko khud dhundhna padega aapko khud Khade hokar apne samasya rupi raste ke pathar ko sadak ke kinare karna hoga koi nahin aata aapke liye aapki madad karne ke liye kyunki aaj ke waqt mein sab apne hi aap me biji hain kisi ke pass kisi aur ke liye madad karne ka waqt nahin hai . Aur ismein galti unki nahin aapki hai apki yah soch bhi hai ki vah aapko badhate dekhna pasand nahin Karte balki aap khud apne aap ko aage nahin badhate bus bahana dhundhte ho naseeb ka, Samaj ka.
Jis tarah kahani mein Raja Jo Apne nagar vasi yon ko dekhne ke liye apna bhesh badal kar nikl a aur raste per pathar rakhkar raste ko band kar diya vo yah dekhna chah raha tha ki laun nagar vasi aage badhkar is pathar rupi samasya ka samadhan dhundega aur Raja jab chupkar ke yah sab kuchh dekh raha tha theek usi tarah hamara Univers hamare Prabhu hamare liye samasyaon ko khada kar dete hain ek pathar ki tarah aur dekhte hain ki kisme yah dam hai ki vah apni samasyaon ka samadhan dhundh lega lekin ham samasyaon ka samadhan nahin dhundhte balki kismat ka rona rote hain aur hath per hath rakhe baithe samay kp kharab karte rahte hain ki koi aaega to hamari samasyaon ko samadhan dega lekin aisa nahin hota balki ham in samasyaon ke sath rahane ki aadat bna dete hain.
Doston mere block aapko kaisi lagi mere block comment kijiye dhanyvad.
Leave a Reply