Do Dost( part 1.) mein aapane padha tha do ladke jo ki garibi ki maar jhel rahe the aur uske bad bhi vah Khush rah rahe the Iske aage ki kahani
Subah ho chuki thi aur Sunil jag gaya tha aur fir usne socha ki jhopadi ki marmmat acchi tarah kar di jaaye aur yah sochkar jhopadi ki marmmat karne lag gaya lekin dusra dost Sumit abhi jagah nahin tha.
Ghante do ghante ki mashakkat ke baad jhopadi ki marmmat ho chuki thi parantu Sumit abhi jaga nahin tha

Jhopadi ke andar jakar Sunil ne Sumit ko jagaya aur kaha ki chalo kuchh kaam dhundhte hain ye sunte hi Sumit ne kaha ki kaam kahan dhundhenge.
Sunil ne kaha pahle to Jhulelal ki dukaan per mast kachaudiyaon ka nashta karenge uske baad mere pass ek plan hai vah main tumhen baad mein bataunga.
Jhulelal kachori wale ka naam sunte hi Sumit ke munh mein pani a gaya aur kaha ki bhai nashte ke rupaye lagte hain pata hai na.
Sunil ne kaha ki haa pata hai bhai kya tumhare pass ₹50 nahin hai mujhe to laga tha ki tumhare pass hai.
Sumit bola achcha to yah baat hai chalo koi baat nahin aaj ka nashta meri taraf se.

Jhulelal halvai ki dukaan se nashta karke Sunil aur Sumit bahut khush the.
Sunil ne Sumit ko aage ki planning bataya aur kahan ki mere pass ₹200 hain aur main badi sabji mandi jakar sabji launga aur chhoti sabji mandi mein ham aaj apni sabji ki dukaan lagaenge.
Sumit ne kaha bhai apni dukaan chalegi.
Sunil ne kaha kyon nahin chalegi main jab tak badi sabji mandi jakar kuchh sabji lata hun tum Jab tak chhoti mandi mein apni dukaan ke liye plastic ki bori bhichaker jagah banao yah kahkar Sunil chal diya.
Chhoti mandi mein Sumit plastic ki bori bichhakar apne liye dukaan laga raha tha ki tabhi ek kele ke fal ke thele wala aaya aur Sumit se kaha yah meri jagah hai hat jao yahan se.
Sumit bhi kam nahin tha usne vahi per thodi dur khade aur sabji le rahe thanedar se kaha ki sar ji dekhie ye mujhe apni dukaan nahin lagane de raha thanedar unke pass aaya aur bola kya mamla hai kele wala aur Sumit donon apni apni baat thanedar ko batane lage.
Thanedar ne kaha dukaan lagane ka kiraya lagta hai isliye jiske pass yahan dene ke liye kiraya ho to yahan per dukaan laga sakta hai is per kele wala aur Sumit donon ne kaha ki ham kiraya denge to thanedar ne kaha aisa karo ya jagah bahut hai tum donon apni -apni dukaan laga sakte ho.
Kya Sunil sabji lekar aaega kya unki dukaan chalegi aur kaisa jaega aaj ka din unke liye yah ham agali kahani mein padenge.
Leave a Reply