Hi doston main aapki blog Mam aapke liye ek naya blog lekar hazir hun.
Ek chidiya thi bo gehun ke khet mein ghosla banakar rahti thi .uske ghonsale mein chidiya ke do bacche bhi the. Gehun ki fasal katne ke liye taiyar thi gehun ke khet ka jo Kisan tha veh rojana gehun ki kheti dekhne aata tha aur apne sath har roj ek naye vyakti ko lekar aata tha aur unhen dikha ta tha ki gehun ki kheti taiyar ho chuki hai lekin abhi ismein thoda waqt hai jabki gehun ki kheti puri tarah se kaatne ke liye taiyar ho chuki thi lekin kisan aalsi tha aur vah chata tha ki uski fasal koi aur Kat de aur use kuchh karna na pade isliye kishan roj bahane bana ta tha is tarah uski gehun ki kheti mein gehun fasal se girne lage the.ek baar Kishan ke sath ek vyakti aur aaya usne use samjhaya ki aalas karne se kuchh nahin hoga balki apne kaam swayam karna chahie kyunki fasal kafi barbad bhi hone lagi thi yah dekhkar Kishan ko mahsus hua ki mujhe aalas chhodkar apna Kaam swayam karna chahie aur fir ek din vah pure man se kheti kaatne ke liye taiyar ho gaya. Aur idhar chidiya roj Kisan ki baat sunti thi ki kis tarah se vah apne din aage badhata ja raha tha kheti kaatne ka kaam ko talta ja raha tha chidiya ke bacche Jo apni chidiya maan se roj kahate ki maan ab to hamen udd Jana chahie kyunki Kishan a raha hai aur vah fasal ko katega jis karan hamara ghosla kharab ho jaega aur fir ham kahan rahenge lekin chidiya maan Jo kisan ki baat ko har bar dhyan se sunti aur shanti se kahati ki abhi ruko abhi Kishan ka man apne fasal ko kaatne ka nahin hai.Lekin chidiya ne dekha ki ab Kishan samajh chuka hai ki use apna kaam swayam karna chahie aur vah pure pakke man se fasal kaatne ke liye taiyar ho chuka hai. Chidiya apne bacchon Ko lekar udd gai ye kahate hue ki ab Kishan samajh chuka hai ki apne kaam swayam karna chahie isliye ab hamen yahan se udna chahie aur ek naya ghosla banana chahie ye kehte hue chidiya apne bacchon ke sath udd gayi.
Dekha aapane jab tak vyakti apne kaam khud se nahin karta hai uska koi kam nahin hota kyunki vah dusron ke bharose baitha rahata hai lekin lyon koi kisi aur ka kam karne aayega apna kaam swayam karna hota hai to ham apne aalas ko khatm karke apne kaam swayam karenge aur dekhenge ki koi bhi kam mushkil nahin hota balki hamare andar ka aalas kisi bhi kaam lo karne mein konkani karta hai
Agar ham apne karya apne aap swayam nahin karenge to iska prabhav hamare apne logon per padega aur yahi aalas ham apne bacchon ko sikha dete hain jabki hamen unhen apne kaam swayam karne ki aadat daalni chahie ye sikh deni chahie.
Aalas ki vajah se karya ko kal per dalne ki vajah se aur kam ko samay per na karne ki vajah se ham bahut hi na kamyab ho jaate hain aur jiska dosh ham auron per daalte rahte hain asal mein ham khud hi Kaam ke na hone ki vajah hote hain.
Isliye apne kaam swam kariye chahiye kisi aur per nahin dalna chahie kyunki kaam hamare hain aur hamen hi karne chahie
Ham sab mein aadat honi chahie apne karya ko samay per aur swayam karne ki karya ko swayam karne chahie is vajah se hamari jankari badhati hai aur sahi samay per karne ki aadat rahti hai.
Agar aapko mere blog pasand hai to mujhe comment kijiye
Leave a Reply