vigyaan ki jarurat

Hamare aas paas aur hamare roj ki jarurat me chahe vah ghar ho ya bahar aur bada ho ya koi bhi chota kaam ho kaisa bhi karya ho in sab mein vigyaan ne saralta di hai sab mein hamen vigyaan ne kafi madad di hain.

Vigyaan hamen sikhata hai ki mushkilo ko saral kaise banaya jaaye aur kaise apni samasyaon ka samadhan dhundha jaaye hamen aap is satya ko manana hoga ki aaj ki jivan mein vigyan hamari jarurat ban chuka hai aur uske bina jivan ki kalpana karna asambhav hai.

Jaane kitne vaigyanikon ne hamare jivan ko saralta dene ke liye pahle sapne dekhe aur fir apne sapnon ko sakar kiya in sapnon ko sakar karne mein vaigyanikon ne na jaane kitne hajaron asafal prayog kiye parantu ummid nahin chhodi.

Jis tarah ek vaigyanik hajaron prayog karke bhi ummid nahin chodata jab tak ki vah apne aavishkar ko pura nahin kar pata vah nahin rukta theek isi tarah hamen bhi ummid nahin chhodni chahiye aur apne sapnon ko sakar karna chahiye

Dekha jaaye to vigyan ki madad se kai avishkar huye or manushya ne apne pair Chand per bhi rakhen Iske alava har desh -vides nahin technology bhi vigyan ki madad Se Hi banaa raha hai.

Aaj bhi kuchh jagah kuchh aise purani soch ke vyakti hain Jo ki vigyan dwara huay karya main dosh nikalti rahte hain aur samajhne ki koshish nahin karte aaj ka samay andhvishwas ka nahin balki samay ke sath chalne ka hai aur vigyan hamen yahi sikhata hai aaj hamare Manav jivan mein vigyan ne kaafi mehtvurnata mahsus kara di hai.

Kabhi socha hai hamari roj mara ki jarurat ek kaam aane wali vastuon mein se vigyan dwara nirmit vastuon ko Ham hata Den to Saman uski vajah se samanya Jan jivan bhi bahut kathin ho jayega is tarah pata chalta hai ki hamare jivan ko saralta dene mein vigyan ka bahut bada yogdan hai.

Vigyan ki vajah se ham nahin nahin tarkki ki unchaiyon per pahunch gaye hain is vigyan ki vajah se Ham logon mein jagrukta bhi I hai jo ki hamen mahsus karati Hai ki vigyan hamari jivan mein kitni jarurat rakhta hai.

Kabhi aap apne kisi karya mein asafal ho jaate hain to iske liye khud ko galat nahin manana chahie yah bhi hamen vigyan hi sikhata hai kisi chij ka galat hona haar nahin hota balki ek nai sikh milati hai aur hamara ye pahla kadam hota hai

Vigyan anishchittaon se bhara hua hai jaise ki antriksh anant hai theek usi tarah vigyan ka fayda ek hi nahin balki yah bhi anant hai ismein har roj ek nai khoj hoti rahti hai aur jo hamare manushya janm jivan ko fayda deti hai.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *