Jeth mahine ke krishn paksh mein padhne wali amavasya ko striyan vat savitri vrat katha ko sunti Hhai aur is din ko bargadi amavasya bhi kaha jata hai.
Bargardi Amavasya
Jeth mahine mein padane wali krishna paksh main padhne wali amavasya ko bargadi amavasya kaha jata hai aur vat savitri amavasya bhi kaha jata hai.
Vrat palan
Is din suhagan striyan apne pati ki dirghayu ke liye vrat ka palan karti jain suhagan striyan subah uthkar naha dhokar aur puri pakvan banakar solah singar karke taiyar hoti hain.
Vargad ke niche Katha sunna
Bargad ke vruksh ke niche striyan ekattha hokar savitri vrat ki katha sunto hain bargad ke charon or chakkar lagate hua soot ka dhaaga badhate hue man hi man apne pati ki dirghayu ki kamna karti hain.
Savitri vrat katha
Savitri vrat katha jo ki is prakar hai prachin kaal mein Savitri naam ki ek Rajkumari thi jiska vivah Satyavan namak yuvak se hua tha.
Satyavan joki vivah ke 1 varsh baad hi swarg sidhar jaega aisa kaha jata tha is karan Savitri dukhi raha karti thi.
Shaadi ke 1 varsh baad Jab ek din Satyavan ped se lakdiyan kaat raha tha to achanak uski tabiyat kharab ho gai aur vah murchit hokar dharti per gir pada aur tabhi Yamraj ji Satyavan ke pran lene a gaye.

Savitri ne Yamraj ko Satyavan ke pran le jaate dekha to Savitri bhi Yamraj ke piche piche rote hue chal di Yamraj ne piche mud kar dekha aur Savitri ko lautane ko kaha per Savitri nahin mani aur mujhe bhi apne Sath le chalo yah kahkar Yamraj ke piche piche chalne lagi .
Yamraj ne Savitri ko teen vardan mangne ko kaha jisse Savitri lalach mein a jaaye per Savitri bahut hi samajhdar thi usne pahle vardan mein apne Saas sasur ko dikhne lage aur unhen rajya mil jaaye aisa manga aur dusre vardan mein apne mata pita ke sukh ke baare mein manga yah kahte kahate Savitri ne teesre vardan mein apne liye akhand saubhagyavati hone ka vardan manga aur Yamraj Ji ne bhi picha chhudaane ke liye Savitri ko akhand saubhagyvati ka vardan fe diya aur fir bhi vah Satyavan ko le jaane lage to Savitri ne kaha ki Yamraj ji ab aap mere pati ko kaise le Ja sakte hain aapane khud mujhe akhand saubhagyavati hone ka vardan diya hai yeh sunte hi Yamraj ji Savitri ki chaal samajh gaye aur muskurane lage.Yamraj ji ko Satyavan ke pran lautane pade is prakar Savitri Main apne pati ko punarjivit kar liya aur is tarah Savitri vrat katha hoti hai.
Leave a Reply