Raat ke baad ek nai subah hoti hai har vyakti ke liye subah ek nai subah ek naya din hota hai aur har vyakti ke liye ek naya mauka hota hai .Apne jivan mein aage badhane ka mauka hai.Jo hua use chhodkar use bhul kar fir se ek naya mukam hasil karne ke liye ek nai raah banane ka ek nai subah aapke liye ek naya avsar lekar aati hai

Ramu joki ek kisan hai bahut hi garib kisan hai Ramu kheti ke paas kheti naam per uske pass jameen ka ek chhota sa tukra hai aur vahi uski dhan sampatti hai Ramu pura din mehnat majduri karta hai apni acchi fasal pane ke liye lekin gaon ke ek jamindar ka use per karj bhi bahut hai ise patane mein uski saari fasal use jamindar ke pass chali jati hai.
Ramu ko yakin hai jamindar ka karja pat gaya hai aur ab is baar ki jo fasal hogi use per uska apna hak hai Ramu bahut khush hai ki achanak uski patni ki tabiyat kharab ho gai .Gaon mein kisi acche doctor ke na hone ki vajah se use apni patni ko shahar le jana pada aur mehngi davaon ke atyadhik kharche ki vajah se Ramu ko fir se jamindar se kuchh karj lena pada aur fir se fasal ke apne ghar aane ki ummid khatm ho gai
Sansar mein har vyakti apne kisi na kisi vajah se pareshan hi hai lekin iska matlab yah nahin hai ki vah dukhon mein doob jaaye aur ummid ko chhod de isliye vyakti ko ummid ka saath kabhi nahin chhodana chahie balki har waqt yah samjhna chahie kii har din ek naya avsar hai aur har subah ek nai subah hai.
Ruko mat dhire chalo per chalte raho jab tak ki aapko apni manjil na mil jaaye kyunki ak din aisa aaega Jo aapke liye ek avsar lekar aaega aur vahi aapki ek nai subah khelay gi.
Jivan mein har vyakti ko ek avsar jarur milta hai bus jarurat hai use pahchanne kiper avsar ko pechana me kabhi kabhi der hoti hai jis din ham apne avsar ko pahchan lenge jis din ham avsar ko pahchanne ki samajh apne andar bana lenge use din se hamen apne jivan mein aane wali har ek rok badha nahin lagi balki ek avsar lagegi.
Agar ham apni nakaratmak soch ko band kar denge aur sakaratmak najriya ko bnayege to hamare liye pareshani pareshani nahin balki hamare liye ek mauka hoti hai kyunki sangharsh ke sath Jo chalta hai vah vyakti ek n ek din apne apni manjil prapt kar leta hai.
Agar kabhi aap haar jaye to iska matlab yah nahin hai ki aap aage badh nahin sakte aapko yah bhi nahin sochana chahie ki aage badhane ke saare raste khatm ho gye balki yah sochiye li ab mujhe ek naya avsar mila ha.i Ek nai subah mili hai aur sab kuchh purana sab kuchh Jo bura hua hai use bhul kar ek naya safar shuru kijiye har vajah ko ek naya avsar banaiye aur aage badhane ke raste aap khud hi banao aur ek kadam bhi jab aap uthaoge aur badho ge to dheere- dheere aapko apne raste milte jaenge aur aapko samajh mein aaega ki raste kabhi band nahin hote balki Insaan khud thak kar baith jata hai.
Kehte bhi hain ki haar kar jitne wale ko Sikander kahate hain aur Sikander Iske bare mein kaha jata hai usne aadhi duniya Jeet li thi to kya usne pareshaniyan nahin dekhi hogi nahin balki usne aage badhane ki himmat banai aur apna rasta jeet ki or jaane wala rasta apnaya.
Isliye utho jago aur chalte raho chalte waqt aapki speed kam ho koi baat nahin per chalte rahiye jab tak ki aapko aapki manjil na mil jaaye jab tak ki aapko aapki ek nai subah mil jaaye iske saath namaskar sabhi ko.
Leave a Reply