Hi doston main aapki blog Mam aur aapke liye ek naya blog lekar fir se hajir hun .
Aaj ka blog title dekhkar aap samajh gaye honge ki Main barish ka din aur uska anand lekar ayi hu .
Mintu jisne socha ki kal sunday ko main kaise bitaunga socha tha ki doston ke sath park mein baithenge thoda khelenge aur fir cycling karenge aur TV per favourite program bhi dekhunga aur kuchh special khane mein ban baunga yah sochte hue vah so gaya
Next day Mintu der tak sona chata tha kunki aaj sunday hai School Jana nahin Hai lekin Mummy ne kaha ki chalo utho aur chai kke liye dudh lana padega kyunki bade bhaiya ko bhi chhutti chahie thi roj vo lekar aate the toh maine bhi Jane ke liye haan kar di aur fir main chala gaya kyunki कभी-कभी ghar ke kam karne chahie isliye ek Aadarsh Putra Bankar Main apni Mummy ka kahana man kar chupchap dukaan per jakar dudh ki packet lekar aaya.
10:00 baje ka time hai main apne doston ke sath Park mein jaane ke liye taiyar ho gaya lekin tabhi jaane Kahan se badal a gaye ghane Kale badal maine dekha ki barish ab hone hi wali hai lo Ji chaupat ho gaya park jaane ka plan aur barish shuru ho gayi.
Mera mood kharab ho gaya tabhi mere bhaiya bole mummy se ki aaj Mausam bahut achcha hai barish ho rahi hai kyon na chai aur pakaudi banaa diye jaen mera plan chaupat ho chuka tha ab bhaiya ka plan shuru ho gaya tha chaliye koi baat nahin ab Maine socha chaliye time ho gaya hai to thoda sa TV Chala kar time pass kiya jaaye kyunki Sunday hai aaj enjoy to karna hai tabhi light bhi chali gayi ab Mera para saat be aasman per tha ek to subah der tak sone ko nahin mila aur bahar jakar khelne ko bhi nahin mila aur tabhi mere dost ka message aaya jisne mujhe math ka work send kiya tha aur likha tha ki kal Mam ko yah work dikhana hai ab kya tha Sunday ki aisi taisi main work complete karne baith gaya mood off tha Jo socha tha vah hua nahin Lekin mere bhai ko barish bahut pasand hai aur Maine dekha ki vah balkani mein baithkar chai aur pakado ke sath barish ka anand le rahe the unka Sunday aaj ka best day tha .
Lekin doston mujhe fir bhi bahut achcha laga kyunki barish mujhe bhi acchi lagti Hai.
Shaam ke waqt barish band ho chuki thi aur mera work bhi complete ho gaya tha mere dost mujhe bula rahe the ki chalo kahin ghoom kar aate hain main bhi ghumne nikal gaya aur sach bataun to mera sunday bahut achcha nikala barish bhi acchi lagi ghumna bhi achcha laga toh ye tha mera aaj ka din Mera Barish ka din .
Doston yah hai aaj ka blog agar aapko mere blog pasand hai to mujhe comment kijiye.