Category: Article

  • पारले-जी

    आज पारले-जी बिस्किट को हर कोई जानता है इसकी पहचान से सब बाकिफ हैं यह पारले-जी बिस्किट जो की कभी बच्चों के टिफिन में तो कभी चाय के साथ तो कभी सफर में दिख जाता है। पर क्या कभी सोचा है इस पारले-जी बिस्किट की शुरुआत कैसे हुई । हम में से बहुत ही कम लोग इसके बारे में जानते हैं की पारले-जी बिस्कुट की शुरुआत मुनाफे के लिए नहीं बल्कि राष्ट्रवाद के लिए हुई थी।

    स्वदेशी निर्मित पारले-जी

    1920 के वक्त की बात है जब अंग्रेजों का शासन था और हमारे भारत देश में अंग्रेज लोगों की फैक्ट्री का ही बाजार था और अंग्रेजों का ही दबदबा था ।उस वक्त भारत देश में स्वदेशी आदोलन जोर-शोर से हो रहा था और तब यह तय किया गया की भारतीय ब्रांड का बिस्किट भी होना चाहिए। बिस्किट स्वादिष्ट और सस्ता होना चहिए और विदेशी बिस्किट को टक्कर दे सके इस तरह पारले-जी बिस्किट की शुरुआत हुई और पारले -जी बिस्किट की नींव रखी गईं ।

    मोहनलाल दयाल चहान

    मोहनलाल दयाल चौहान ने उस वक्त जर्मनी जाकर बिस्किट के लिए कन्फेक्शनरी का कार्य सीखा और और बिस्किट बनाने के लिए जरूरत की मशीन को भी जर्मनी से लाए ।

    कारखाने की शुरुआत

    मोहनलाल दयाल चौहान जी ने मुंबई के विले पार्ले मे एक छोटी-सी जगह में पारले-जी बिस्कुट के कारखाने की शुरुआत की इस कार्य में 12 लोगों ने अपना सहयोग दिया।

    बिस्किट का नाम

    मुंबई के विले पार्ले में बिस्किट के ब्रांड की शुरुआत हुई इसलिए बिस्किट का नाम पारले-जी रखा गया। और इस तरह पारले-जी बिस्कुट की नींव रखी गई हालांकि उसे वक्त संसाधन कम थे। और इस तरह पारले-जी बिस्किट की शुरुआत राष्ट्रवाद की वजह से हुई ।

    हालांकि बिस्किट बनने से पहले शुरुआत ऑरेंज कैंडी से हुई थी और 10 साल बाद पारले जी की शुरुआत हुई।

    इस तरह हम कह सकते हैं। पारले-जी बिस्किट की शुरुआत राष्ट्रवाद की वजह से हुई ।शुरुआत में पारले-जी बिस्किट ने काफी संघर्ष दखा और संसाधन भी कम थे ।अंग्रेजों का शासन था और पारले-जी ने फिर भी हार नहीं मानी। सुवाद में वेमिसाल और लजवाब यह है हमारी पारले-जी बिस्किट की कहानी।

  • गर्मी की छुट्टी

    गर्मियों का मौसम है और स्कूलों में गर्मी की छुट्टी चल रही है। गर्मी की छुट्टी स्कूली बच्चों को बहुत पसंद आती हैं हमारी बचपन में भी ऐसा ही होता था । गर्मी की छुट्टियों का इंतजार हुआ करता था।

    गर्मी की छुट्टियां में हमारे वक्त में हम नानी के यहां जाया करते थे और वहीं पर पूरी छुट्टी रहते थे। याद आती है उसे वक्त की पर अब ऐसा नहीं होता ।

    आज के वक्त मैं कुछ ही बच्चे नानी के यहां जाते हैं और वह भी सिर्फ 8 या 10 दिन के लिए । आज के वक्त में गर्मी की छुट्टियों को उपयोगी और बेहतर बनाने का अवसर है। इन छुट्टियों का उपयोग कुछ इस तरह भी कर सकते हैं।

    कंप्यूटर सीखना

    आज का बदलते समय‌ में कंप्यूटर हमारी ज़िंदगी का एक हिस्सा है और यह हम सब अच्छे तरीके से जानते हैं इसलिए गर्मीकी छुट्टियों मे जो बच्चे थोड़े बड़े और समझदार हैं उन्हें अपने उज्जवल भविष्य के लिए कंप्यूटर को सीखना चाहिए जिसके लिए गर्मी की छुट्टी बेहद ही बेहतर अवसर है

    इंग्लिश स्पीकिंग कोर्स

    गर्मी की छुट्टी में कुछ बच्चे अगर अपनी इंग्लिश स्किल को सुधारना चाहते हैं तो यह छुट्टियां उनके लिए भी एक अच्छा मौका है आज के वक्त में इंग्लिश बोलना आना एक अच्छी और जरूरी बात है ।

    घूमने जाना

    इन गर्मी की छुट्टियों में अगर कोई बाहर घूमने का शौक रखता है तो यह काफी अच्छा शौक है क्योंकि कहते हैं की घूमने से हमें जानकारी मिलती है और घूमना-फिरना मन की शांति के लिए भी अच्छा माना जाता है। अगर बाहर घूमने का अवसर है तो मेरी समझ में गर्मी की छुट्टी ही सबसे अच्छा वक्त है।

    नाना नानी के घर

    बहुत-से बच्चे गर्मी की छुट्टियों मे अपने नाना नानी के घर जाना पसंद करते हैं वैसे कहा जाए तो गर्मी की छुट्टियों का असली मजा नाना- नानी के घर ही मिलता है । नाना नानी के घर पर मामा के बच्चे और मौसी के बच्चे जब इकठे हो जाते हैं तो मजा और बढ़ जाता है गर्मी की पूरी छुट्टी बड़े आराम से निकलती है

    दादा -दादी के घर

    आज के वक्तमे कुछ परिवार नौकरी की वजह से दूर दूसरे शहर में रहते हैं तो गर्मी की छुट्टियों बहुत-से बच्चे अपने दादा-दादी के घर जाना पसंद करते हैं क्योंकि बच्चे अपने दादा दादी के लाडले होते हैं

    गांव मैं जाना

    कुछ परिवार अभी भी गांव से जुड़े हुए हैं इन छुट्टियों में बच्चे अपने गांव जाकर वहां का रहन-सहन और और गांव के सादा जीवन का बहुत मजे से आनंद लेते हैं। शहर की चकाचौंध से निकलकर गांव का सादा जीवन बच्चों को रास आता है ।गांव में शुद्ध भोजन पानी और शुद्ध हवा मिलती है जिससे मन को शांति मिलती है

    यह छुट्टियां एक बहुत अच्छा अवसर होती हैं इसलिए इसे यूं ही व्यर्थ न करें बल्कि अपने हिसाब से इन छुट्टियों का उपयोग करें।

  • vigyaan ki jarurat

    Hamare aas paas aur hamare roj ki jarurat me chahe vah ghar ho ya bahar aur bada ho ya koi bhi chota kaam ho kaisa bhi karya ho in sab mein vigyaan ne saralta di hai sab mein hamen vigyaan ne kafi madad di hain.

    Vigyaan hamen sikhata hai ki mushkilo ko saral kaise banaya jaaye aur kaise apni samasyaon ka samadhan dhundha jaaye hamen aap is satya ko manana hoga ki aaj ki jivan mein vigyan hamari jarurat ban chuka hai aur uske bina jivan ki kalpana karna asambhav hai.

    Jaane kitne vaigyanikon ne hamare jivan ko saralta dene ke liye pahle sapne dekhe aur fir apne sapnon ko sakar kiya in sapnon ko sakar karne mein vaigyanikon ne na jaane kitne hajaron asafal prayog kiye parantu ummid nahin chhodi.

    Jis tarah ek vaigyanik hajaron prayog karke bhi ummid nahin chodata jab tak ki vah apne aavishkar ko pura nahin kar pata vah nahin rukta theek isi tarah hamen bhi ummid nahin chhodni chahiye aur apne sapnon ko sakar karna chahiye

    Dekha jaaye to vigyan ki madad se kai avishkar huye or manushya ne apne pair Chand per bhi rakhen Iske alava har desh -vides nahin technology bhi vigyan ki madad Se Hi banaa raha hai.

    Aaj bhi kuchh jagah kuchh aise purani soch ke vyakti hain Jo ki vigyan dwara huay karya main dosh nikalti rahte hain aur samajhne ki koshish nahin karte aaj ka samay andhvishwas ka nahin balki samay ke sath chalne ka hai aur vigyan hamen yahi sikhata hai aaj hamare Manav jivan mein vigyan ne kaafi mehtvurnata mahsus kara di hai.

    Kabhi socha hai hamari roj mara ki jarurat ek kaam aane wali vastuon mein se vigyan dwara nirmit vastuon ko Ham hata Den to Saman uski vajah se samanya Jan jivan bhi bahut kathin ho jayega is tarah pata chalta hai ki hamare jivan ko saralta dene mein vigyan ka bahut bada yogdan hai.

    Vigyan ki vajah se ham nahin nahin tarkki ki unchaiyon per pahunch gaye hain is vigyan ki vajah se Ham logon mein jagrukta bhi I hai jo ki hamen mahsus karati Hai ki vigyan hamari jivan mein kitni jarurat rakhta hai.

    Kabhi aap apne kisi karya mein asafal ho jaate hain to iske liye khud ko galat nahin manana chahie yah bhi hamen vigyan hi sikhata hai kisi chij ka galat hona haar nahin hota balki ek nai sikh milati hai aur hamara ye pahla kadam hota hai

    Vigyan anishchittaon se bhara hua hai jaise ki antriksh anant hai theek usi tarah vigyan ka fayda ek hi nahin balki yah bhi anant hai ismein har roj ek nai khoj hoti rahti hai aur jo hamare manushya janm jivan ko fayda deti hai.

  • Robot ki Mairathan Daud

    Abhi kuchh samay pahle hi ek khabar suni jismein Robot ne mairathan daud lagai. Aur is daud mein robot me daud kar insanon ke World record ko piche chhod diya. Ham sab jante hain ki ek Machine aur Insan ka koi mel nahin hota.

    samanya Jan jivan mein AI dwara nirmit robot aur nai technology Jo har roj progress kar rahi hai per kya Jo romanch insani vyavhar mein milta hai kya bahi romanch robot mein mil sakta hai.

    Robot main kisi bhi prashikshan ke liye use prashikshan se sambandhit program dalna padta hai ,jabki Insan abhyas karke coaching training lekar aur apne bhale bure anubhav se aur apne guru se prashikshan lete hain aur samay anusar paristhitiyon ke mutabik khud ko dhalte hain aur robot ko har paristhiti ke liye ek naya program aur data dalkar taiyar karna padta hai.

    In robots ka istemal Khel Jagat mein khiladiyon ko prashikshan dene ke liye kiya ja sakta hai jisse khiladi khel Jagat mein nai chunauti yon ko behtar dhang se samajh saken aur apne khel mein sudhar la sake aur nai chunauti yon se lad sake.

    Maan lijiye aane wale waqt mein robot hi khiladi bane to kya unmen Insani khiladiyon Jaisi mansikta rahegi aur kya robot dwara khele gaye khel ko darshak vah protsahan de sakte hain jo ki maidan mein khel rahe insani khiladiyon ko milta hai.

    Asali khiladi vahi hota hai jo samay ke hisaab se khud ko dhaal sake aur apne anubhav apni bhavnaon aur paristhitiyon se taalmel bana sake halanki robots ko kisi ek skill mein mahir banaya Ja sakta hai per tabhi use khel mein insani vyavhar aur Khel ke prati bhavna aur taalmel nahin samajh sakte hain .

    Aur yahi vajah hai kitna hi khas robot ho per usmein vah bhavnayen nahin milengi jo ki Insan mein milte hain ho sakta hai kuchh masalon mein insanon se aage nikal jaaye robot lekin robot ko banane wala bhi aakhir Insan hi hai

    Khel jagat ho ya fir koi bhi maidan Insani pradarshan ho to pradarshan majedar lagta hai per robot ke saath khel nahi sirf ek technology ka pradarshan hota hai.

  • Petrol aur Mahangai

    Matr 15 dinon ke andar chauthi baar idhan ke daam bade hain Jo ki mahangai ko badhane ka kaam kar raha hai aur is sab mein aam Insan pis raha hai. Badhati mahangai se aam Insan ki nind kharab ho chuki hai.

    Yah to ham acche tarike se jante hain ki Idhen ke daam badhne mein Iraan aur America ka yudh aur Hourmuj badi vajah hain yah vajah koi chhoti vajah nahin hai yah Vaishvik vajah hai aur jiska samadhan jaldi hi dhundhna hoga.

    11 din ke andar chouthi baar petrol ke daam bade hain aur is per vitt mantri ne sanket diya hai ki abhi daam aur badh sakte hain.

    Paschimi Asia yuddh aur uske karan aur Hourmuj jaldamrumadhya band hone se kacche tel ki vaishavik kimaton mein 50% ki vriddhi ho chuki hai iska asar hamare Bharat desh per bhi pada hai lekin chauthi bar petrol diesel ka daam badna aam aadami ko pareshan karne ka bahut bada karan hai.

    America aur Iran ke bich tanab kam hone ki ummidon ke chalte kacche tel ki kimat main kuchh giravat aagai hai lekin filhal upbhoktaon ko rahat milegi ismein kuchh kaha nahin ja sakta aur sthiti ki ek sabse badi vajah yuddh hai. Ismein koi shak nahin hai.

    Is bich electric vahan aur sarvjanik parivahan kafi prachalit hua hai aur bada hai jo ki paryavaran ke liye faydemand hai aur petrol diesel ke bade damon ki vajah se bhi ise badhava mila hai.

    lekin fir bhi is sthiti se nipatne ke liye Sarkar ko kuchh karna chahiye jo ki aam Janata ke hit mein ho aur mahangai se bache kuchh aise tarike apnane honge.

  • Badlta Insaan

    Aaj ki bematlab ki duniya mein har vyakti sirf apna matlab nikalna chahta hai aur apna kaam banana chahta hai . Kaam nikalne ke baad vahi vyakti matlabi ho jata hai khud ko samay per mile ahsaan ko bhula deta hai aur apne kaam mein aaye hue vyaktiyon ko bhi najarandaaz karta hai aur in logon ki vajeh se pata chalta hai ki duniya mein kitne matlabi log hain.

    Samay ke saath har vyakti ko chalak aur chatur banna chahiye aur har waqt har kisi ke liye uplabdh nahin rahana chahiye aur na hi kisi se be fijul ki baat karni chahiye.

    Samajhdari

    Har kisi vyakti se dosti nahin karni chahie kyunki koi vyakti jo ki sidha sadharan lag raha hai jaruri nahin ki vah vaisa hi ho .Ho sakta hai veh koi fayda uthana chahta ho .Isliye kisi se dosti banane se pahle samajhdari ke saath aage badhana chahiye aur uski har baat ka jawab samajhdari ke sath dena chahiye kyunki aaj ka jamana samjhdaar logon ka hai bevkoof logo ka nahin.

    Nakaratmak logon se dur rahana

    Jaruri nahin hai ki aap ke dost ki ginti jyada hi ho aur har waqt doston ke bich mein rahe . Kuchh waqt aap apna akele mein bhi bitaen aur khud per bhi dhyan de aur dekhen ki aapke sath rahane wale doston mein jo nakaratmak soch rakhte hain unse duri banakar rakhni hai kyunki aise vyakti aapko bhi jivan ke prati nakaratmak soch denge .

    Vyaktigate Jivan

    Apne vyaktigat jivan ki vyaktigat baton ko har kisi ko na bataen jaise ki aapka kahin jana aapka kisi naye kaam ko shuru karna ya fir jivan se Judi kisi bhi pareshani ko ya bhavishya me aane wali khushiyan har kisi ko batane ki jarurat nahin hoti hai jitna aap apne jivan ki mukhya baton ko vyaktigat rakhenge aap utna hi khush aur positive rahoge.

    Aisi kai choti choti baat hoti hain jo aapko samay ke saath chalna aur samay ke saath viyabharik banayega

    Badlte samay ne hamko aage badhane ke naye raste dikhaaye hain to samay ke saath badlta Insaan bhi dekhne ko mil raha hai.

  • Housewife

    Yahan ham baat kar rahe hain grahani ki jo ki ghar ko sambhalti hai aur apne grahani hone ki jimmedari ko kushalta ke saath nibhaana janti hai.Grahani ke kai roop hote hain Kaha jaaye to parivar ki Jaan hoti hai grahani aur lagbhag sabhi parivar mein grahani sabse pahle uthati hai kyunki uski jimmedaariyan kafi hoti hai.

    Grahni ke anekon roop

    Ghar mein kai kaam hote hain jinhen ek grahani samajhdari ke saath sahi samay per pure karti hai aur apne parivar ko khush rakhti hai.

    Maa ka Roop

    Har ghar ek parivar se hota hai aur parivar mein bacche bhi hote hain bacchon ki jimmedari pure din ki hoti hai bachha apni maa per hi nirbhar rahata hai kyunki maa uski sari jarurat on ko pura karti hai samay per jaise ki bacchon ko nahlana ,khana khilana samay per sulana aur unhen acchi sikh dena ek grahani ka hi kartavya hota hai.

    Kitchen sambhalna

    Har grahani ke din ki shuruaat kitchen mein khana pakane se hi hoti hai subah ke naaste se lekar raat ke khane tak ki jimmedari grahani per hi hoti hai.

    Ghar ki saaf Safai

    Ghar ki saaf safai bhi ek bahut bada kaam hai Jaise ki jhadu pahuncha karna ghar ke kone- kone ki safai karna grahani ka hi kaam hota hai .Ghar ki saaf safai hone se ghar saaf suthra dikhta hai yah grahani acche tarike se janti hai kyunki ghar ek mandir hota hai.

    kharidari karna

    Ghar ki aurat ko kitchen ke masale,sabji se lekar ghar ki or aur bhi jarurat ke samaan ki aur tyoharon ki kharidari karni padati hai.

    Ek aurat jo ki gahani hoti hai vah apne parivar ki sari jarurat ka kaam karti hai aur apne parivar ko khush rakhti hai in sab ke alava bhi uski aur bhi Kai chhote bade kaam hote hain jaise kapde dhona, kapdon per stree karna.

  • Badati garmi

    Is saal hindi ke mahinon mein adhik Maas bhi hai jo ki ab shuru ho chuka hai aur saath hi garmi bhi badhati ja rahi hai aur is saal barish hone ke asar bhi kam bataye ja rahe hain.

    Badati garmi se har Insaan is waqt pareshan hai aur raste per chalne wale vyakti bhi Jab kuchh der therna chahte hain to sabse pahle vah ek ped dekhte hain aur fir ped ki chhaon mein thodi der rukte hain.

    badati garmi ki vajah kai hain ismein se ek badi vajah paryavaran hai jo ki ham insanon dwara kharab kiya gaya hai aur dusri vajah bewajah pedon ki katai bhi hai.

    Hamen is garmi se bachne ke upay bhi samajhne chahiye .Ye upaye kuchh bade nahin hote hain balki Jara Jara si savdhaniyan hi hamen is garmi se bacha sakti hain.

    Pani

    Yun to ham sab jante hain ki hamare sharir mein pani mahatvpurn hota hai aur Pani ki kami ho jaane per hamen chakkar Jaise aane lagte hain isliye hamen apne sharir mein Pani ki kami nahin hone deni chahiye aur har ghante par hamen Pani peete rahana chahiye .

    sada bhojan

    Garmi ke dinon mein hamara bhojan sada hi hona chaahiye jaise ki khichdi daliya hamen din mein ek baar aisa patla bhojan khana chahiye jisse ki hamara pet bhari na ho aur bhojan pach jaaye. In dinon tala bhuna khane se bhi bachna chahiye.

    Puri baju ke kapde

    Agar aapko bahar kahin jaane ki jarurat pad rahi hai to hamesha bahar nikalte waqt halke rang ke aur puri baju ke kapde jo ki aap ke sharir ko dhakte hain pahnane chahiye aur saath mein ek safi ya fir dupatta lekar chalna chahie jisse ki aap garmi mein ise sar per dalkar odd sake aur garmi se bach sake saath mein ek Pani ki botal bhi lekar chalna chahiye.

    Garmi se bachne ke kafi upay hain aur aap in tariko ko apnate hain to aapke liye faydemand rahenge aur aap garmi se bache rahenge.

    Conclusion

    Garmiyon mein hamen bachne ke chote upay apnane chahiye jaise ki hamen samay samay per pani peete rahana chahie aur hamen bhojan bhi halka aur patla bhojan lena chahie Jaise ki daliya khichdi hamen tale bhune bhojan se bachana chahiye aur bahar nikalte waqt puri baju ke kapde pahnane chahie aur saath mein ek suti dupatta bhi rakhna chahiye bahar nikalte waqt hamesha ek botal pani bhi rakhna chahiye.

  • Leak NEET Paper

    kuchh din pahle hi( 3 may 2026)bacche apna NEET ka paper deke nikale aur Pariksha ke kuchh samay baad hi pata chala neet paper leak ho chuka hai.

    Aisa kyon hota hai bacche apne bhavishya ko Ujjwal banane ke liye kuchh karne ke liye NEET paper ki taiyari karte hain mehnat aur lagan ke saath per Jab baad mein pata chalta hai ki paper leak ho chuka hai to unhen kitni nirasha milati hai.

    Neet paper Jo leak hua hai kya usme prashasan ki koi galti nahin hai kya koi jimmedari nahin hai prashasan ki Iske prati yah sab pahli bar nahin hua hai isase pahle bhi chatr pariksha dekar aaye aur pata chala ki pariksha radd ho gayi .

    Pariksha se 48 ghante pahle hi mobile per viral hua tha guess paper aisa( nta) ke mahanideshak Abhishek Singh ka kahana hai.

    Halaki Rashtriy Pariksha Agency(nta) ne nakami ko swikar kiya hai aur kaha hai ki pariksha jaldi hi dobara karai jaayengi aur nai tarikh ka bhi bataya jaega is neet pariksha mein 22.79 vidyarthi ne pariksha di thi.

    Leak hui neet pariksha se pata chala hai ki saat rajyon mein private mafia ke naam se WhatsApp group per chatting hui thi aur is mein 400 log Jude hue bataiye gaye hain paper ko 10 lakh mein kharida gaya tha aur 15 lakh mein becha gaya tha.

    Paper leak mamle mein CBI ne jaanch ko aage badhaya hai aur kai jagah chhape mare hain aur kuchh logon ko pakda bhi hai.

    Paper leak mamla saat rajyon se judta hua dikh raha hai aaropiyon ke mobile aur laptop digital upkar le liye hain.

    Halanki koshish ki ja rahi hai aur paper leak mamle ke doshi ko pakad liya gaya hai lekin fir bhi Chatr jo Pariksha ki taiyari karte hain mahinon pahle aur jab unke sath is tarah fraud hota hai to unke mansikta per kya asar hota hai yah kisi ne socha hai.

    Bhavishya ke sapne sanjoy hue Khush hokar mehnat aur lagan ke saath ek chatr pariksha deta hai aur vahin dusri taraf kuchh raees log apna dirty game khel jaate hain halanki baad mein unhen bhi kuchh nahin milta lekin aise log pure pariksha ke karykram ko kharab kar dete hain chhatron ka samay kharab ho jata hai.

    NEET paper dobara ho per iski kya guarantee hai ki fir se bacche pure vishwas ke saath paper denge.

    Yahan galti kisi ek vyakti ki nahin hai balki pure system ki hai kyunki system mein Jab tak koi kharab vyakti hoga tab tak yah hota rahega isliye pahle system ko theek karna hoga jisse badi pariksha radd na ho aur chhatron ko bhi nirasha na mile..

  • Petrol Diesel aur Nagrik

    Is samay desh mein America Israel ke Iran se yuddh ke karan petrol diesel ka sankat paida hua hai use lekar desh mein Janata se PM Modi ne petrol diesel ki khapat per dhyan dene ko kaha hai aur petrol diesel ke upyog per syiam rakhne a ko bhi kaha hai. PM Modi ne Jo appeal desh se ki hai ham deshvasiyon ko bhi is petrol diesel ke sankat kaal mein. gambhirta se dhyan dena chahiye aur petrol diesel ki khapat per dhyan dene ki jarurat hai.

    Covid Niyam

    Is dauran PM Modi ne bahut kuchh Corona Kaal mein apnay gaye niyam ko apnane ke liye kaha hai Jaise ki work from home, Video caunfrasing call aur online classes chalai jaaye isse bhi hamen fayda hoga. Dur desh shadiyon ke karykram Se bachen

    Videshi Mudra Bachaye

    PM Modi ne kaha hai videsh yatra bhi ho sake to radd karen is jagah gharelu paryatan ko mahatva den yahan tak ki shadiyon ke liye videshi location chunane ke badle gharelu paryatan ko chunkar badhava den

    Apne desh ki utpadit vastuon ko hi kharide gharelu istemal ke liye bhi jaise ki shoos, Bag swadeshi hi le.

    PM Modi ki is appeal se nagrik ghabra gaye hain aur is waqt unhen ghabrane ki jarurat nahin hai balki shanti se dhairya ke saath sarkar ki is appeal mein sarkar ko sahyog den.

    Bharat ke pass petrol diesel ke bade bhandar nahin hai .Bharat ko petrol diesel aur gas dusre desh se ayat karna padta hai jo ki America Israel ke Iran se yuddh ke chalte samasya hui hain isliye nagrikon ghabraye ki jarurat nahin hai is sankat kaal se bahar nikalne mein thoda waqt lagega. Kahate hain har andheri raat ke baad savera jarur hota hai aur ummid per duniya Kayam hai.

    Kisi bhi samasya ka samadhan milane mein thoda waqt lagta hai yah sab ham acche tarike se jante hain to is sankatgrast waqt mein hamen bhi petrol diesel ke gas ke fijul kharche se bachana chahiye aur Covid Jaise niyam apnane chahiye .