Sumit-Aakhir tujhe kya jarurat thi apne pass rakhe hue ₹200 nimbu aur mirch me kharch karne ki na hi nimbu mirch kharide kisi ne aur na hi hamara kuchh fayda hua. hansi udi alag se.
Sunil-Chal kuchh khate hain mujhe to bahut tej bhookh lag rahi hai. Sumit -mujhe kuchh nahin khana vaise hi aaj bahut kuchh kha liya hai.
Sunil-Itna dimag kharab karne wali baat kya hai ismein aur fir kya mang kar hi khate rahe jindagi bhar kuchh karna nahin hai aage. Mujhe nimbu mirch kharidne ka vichar aaya to maine kharid laya aur yah kisne kaha tujhe ki mujhe fayda nahin hua.
Sumit-kya kah raha hai bhai fayda hua kaise kab mere samne to Jhulelal halvai ne tujhe ₹200 nimbu aur mirch ke 280 rupaye diye₹80 hi to tujhe fayde mein mile kya isko fayda kahate jain to bhi yaar kya sochta hai fayda hua .
Sunil-Maine kab tujhse kaha tha ki nimbu mirch ₹200 ke aaye hain.
summit-matlab kya hai tera subah tune kaha tha na ki tere pass ₹200 hain aur fir Jhulelal ki dukaan per bhi tune kaha ki nimbu mirch₹200 ke hain.
Sunil -Jo nimbu aur mirch laya tha vah sirf ₹100 ke the aur maine socha badi sabji mandi mein ki jab mere yah ₹100 ki nimbu mirch bik jaenge tab kal fir main kuchh aur jyada nimbu mirchi lekar jaunga ab bata mujhe 180 rupaye ka fayda hua ya sirf ₹80 ka
Sumit-tabhi main kahun ki tere chehre per itni muskurahat kyon hai aap samajh aaya. To ye baat thi.
Donon dost hanste hue apni jhopadi ki taraf ja rahe the aaj ka pahla din unka thoda sa bura aur tajurbedaar raha per aaj ke din ki sikh donon doston ki alag -alag jagah ek dost mandi mein se apne aadhe rupaye ke nimbu mirch khareed kar laya aur ek dusra dost mandi mein sabji ki dukaan banane ke liye sangharsh kar raha tha. Jivan ke paath vah acchi tarike se padh rahe the.
h
Leave a Reply