Category: Self deprecated

  • Man ki Baat

    Hi doston main aapki blog mam aur aapke liye blog lekar hazir hun .

    Man bahut baten karna chahta hai aur mujhe suchna diye bina kabhi yah rajneta ban jata hai aur kabhi yah abhineta ban jata hai kisi mahapurush ne agar yah kaha hai ki Khali dimag shaitan ka ghar hota hai to shayad uske man ne bhi usko khoob nachaya hoga tabhi usne yah kahavat banai isliye to Khali wakt ek Shaitan bacche ki tarah man pareshan karta hai kyunki iske khayali ghode dur tak jaate hain Jahan Insan jaane ke liye taiyari karta hai jab tak to man ghoom kar aa bhi jata hai . Kyunki sahi kahun na man kabhi khushiyon se bhara hota Hai man kabhi dukhon mein duba hua hota uska pata nahin hai iska Koi thikana bhi nahin hai.

    Blog mein kya likhun to socha ki aaj is man ki baat likhun man bahut jaldi sapne dekhne lagta hai hakikat ki duniya mein le jata hai ekadam live telecast Jahan hamari apni chalti Hai Jahan hamare apne rools hote Hain.

    Yahan koi discipline nahin hai na kuchh bigad raha hai na kuchh ban raha hai is Man ki duniya mein sirf man apni Man ki chaal chalta hai yahan Kisi ki nahin chalti.

    Jab man neta ka roll nibhata hai toh bade bhashan deta hai aur man apni panchayat bitha ta hai aur khud sarpanch banke nirnay deta hai samjhata hai kya karna hai kaise karana hai aur jab yah janab abhineta ke roll mein hote hain to inki movies blockbuster jaati hain badi acting karta hai reality mein mujhe abhineta wali feeling deta hai aur mujhe sawar ta hai aur sajne ko kahta Hai yah hai mera man .

    कभी-कभी to yah bavla man depression mein bhi chala jata hai itni gahrai mein jitne gahrai mein sab marin nahin jaati hogi aur bade gote khata hai bachpan se lekar abhi tak ke jitne bhi depression ke pal hain sare yaad kara deta hai aisa lagta hai aaj mela laga liya hai aur fir rulata hai agar kahin jana hai to mahinon pahle kuchh dinon pahle kya pahnana hai kya nahin pahnana hai vah sab kuchh Menu banaa kar de deta hai iske hisab se chalo to hamen Khush rakhta hai aur agar humne samay per kuchh aur pahan liya iski planning se alag to hamen depression mein daal deta hai sach bata rahi hun yah Hai man .

    Garmiyon ki chhutiyan abhi hui bhi nahin hai aur iski planning shuru mere Jeb ki halat kaisi hai isse ise koi matlab nahi hai bus planning chalti hai kahan Jana hai Kahan nahin Jana jai sari tasviren dimag mein chaap deta hai aisa lagta hai AI to iske samne kuchh bhi nahin baccha hai kyunki AI abhi aaya hai lekin yah man yah to bahut hi jyada technology se bhara hua hai fatafat kaam karta hai Koi recharge nahin Koi charger nahin bina kisi rukavat ke iske liye koi network nahin chahie yah hai Mera Man aur yah Hai mere Man ke karya .

    Kabhi subah uthkar kaam ko time se karata hai bada khush rahata hai aur kabhi pata nahin kyon coma mein chale jata hai bina bataye koi notification nahin Jaise iska Koi paper tha aur vah kharab ho gaya hai ya koi bahut bada nuksan ho gaya hai lekin mujhe sara kaam bhula deta hai har kam bigad jata hai jbhi coma mein hota hai depression mein hota hai aisa lagta hai Jaise kuen meibalty doob gai ho aur rassi bhi gir jaaye kafi khinchne ki koshish Karti hun lekin yah depression se bahar nahin nikalte janab aisa hai mera man Khush hota hai to sare kam acche hote hain varna sthiti kuchh aur hoti hai.

    Doston yah hai mera blog agar aapko mere blog pasand hai toh mujhe comment kijiye aapke comment mujhe aur naye blog banane mein madad karte hain dhanyvad.